Zindagi mein aise jagah jahan insaan ko apni willpower test hi nahi karni chahiye.
Apna imtihaan lene ki koshish mat karo.
Apne aap ko khud khatray mein mat daalo.
Jab bhi yeh cheez saamne aayein,
foran ijtinab karo.
Seedha kaho:
“Bhai, main strong nahi hoon.
Main kamzor hoon.
Main yahan khud ko nahi aazma sakta.
Yeh tasleem kar lena kamzori nahi,
yeh samajhdari hai.
Na-Mahram
Sabse pehla aur sabse zyada khatarnak imtihaan — Na-Mahram.
Jab Na-Mahram se saamna ho,
jab ta‘alluqaat ka silsila shuru ho,
toh yeh keh kar apne aap ko dhoka mat do ke
“Hum toh behen-bhai jaise hain.
Na-Mahram ko behen banana solution nahi hai.
Sabse zyada khatarnak “behen-bhai” wahi hotay hain
jo asal mein Na-Mahram hotay hain,
aur bas alfaaz mein keh dete hain:
Hum behen bhai hain.
Haqeeqat yeh hai —
woh behen bhai nahi hotay.
Khusoosan Cousins: Zyada Khatray Ki Jagah
Yahan jawanon ko khaas tawajjo deni chahiye.
Na-Mahram rishtedaar,
cousins,
jinse milna-julna bhi hota hai,
aana-jaana bhi hota hai —
yahi jagah sabse zyada phislan wali hoti hai.
• Ladki ho → ladkon se bacho, cousins se bacho
• Ladke ho → ladkiyon se bacho, cousins se bacho
Jab Na-Mahram qareeb ho, ghar ke hi log ho, roz milna hota ho — wahan apna imtihaan lena bewaqoofi hai.
Yaad rakho:
🔥 Qareebi rishtay, zyada khatray laate hain.
Ya Allah,
humein apni kamzori samajhne ki basirat ata farma,
aur har us jagah se bacha
jahan hamare phisalne ka khatra ho.
Aameen.
🌬️SHARE
Comments
Post a Comment