Sabse pehle yeh sawaal apne aap se karo: Kya hum apne aap ko Allah ki mohabbat ki taraf badha rahe hain? Yeh sawaal sirf zabaani nahi, balki dil ki gahraiyon se poochha jaana chahiye. Kyun ke duniya ki fitrat hi yahi hai woh kabhi bhi aapko Khuda ki mohabbat ki taraf jaane nahi degi. Yeh uska kaam nahi, balki yeh uski mukhalafat hai. Isliye Allah Azzawajal ne ek laakh chobees hazaar paighambaron ko is zameen par bheja. Unka maqsad sirf aur sirf yahi tha ke makhlooq apne Rab ki taraf palte, usse pehchane, aur usse chahne lage. Doosri taraf, duniya ka poora nizaam ek mukhalif simt mein chal raha hai. Iska kaam hai ke insaan apne Rab se ghafil ho jaye, door ho jaye, aur apni zindagi mein itna kho jaye ke Khuda ki yaad tak na aaye. Aur aaj ka dour? Woh aur bhi zyada peechida hai. Aaj aapko duniya mein har cheez nazar aati hai deen bhi, deendar bhi. Lekin asli sawaal yeh hai ke yeh log aapko le kahan rahe hain? Khuda ki taraf, ya apni taraf? Kyun ke bohat se log deen ka lib...